Hamein Apna jeewan kaise jina chaiye chanakya niti gyan ke dwara samjhiye

 Chanakya Niti insan ko safalta ki aur prerit karti hai.Insaan ke dwara aaye sukh dukh ke karno ke baare mein batati hai.Bahut hi bari sankhya mein log chanakya niti ka adhyan karte hai aur apne jeewan ko behtar banate hai.Ab jaante hai Acharya chanakye ki Anmol nitiyan.Hamein kabhi bhi murkhon ke saath vaad vivad nhi karna chaiye aise mein ham apna kimti samay kharab kar rahe hai.Dushman aur Bimari ko kabhi bhi chota nhi samajhna chaiye.Bhagya bhi usi ka saath deta hai jo kathin se kathin paristhiyon mein mazboot rehte hai.Kismat ke sahare chalna apne pairon mein kulahari maarna Aise logon ko barbaad hone mein samay nhi lagta. Koi bhi insaan uche sthaan mein baithkar ucha nhi hota balki apne guno se ucha hota hai.Aapko us jagah par nhi therna chaiye jahan aapki izzat naa ho. Jo gyani hota hai use samjhaya jaa sakta hai jo agyani hota hai use bhi samjhaaya jaa sakta hai Lekin jo apmani hota hai use nhi samjhaya jaa sakta use kewal waqt hi samjhaata hai.Kisi ke Bure waqt mein bilkul mat hasna kyonki yeh waqt hai jo sabhi ke chere yaad rakhta hai.Jab insaan galti hone par apne aap se larta hai use koi nhi hara sakta.Jab bahut jyaada mehnat karne ke baad bhi sapne poore nhi hote toh aapko raaste badal lena chaiye.Maidaan mein haara hua insaan phir se jeet sakta hai lekin man se haara hua insaan kabhi nhi jeet sakta.Har ek ki suno aur har ek se sikho.Kyonki har koi sab kuch nhi jaanta lekin har ek insaan kuch naa kuch jaroor jaanta hai.Jo insaan aapko daurkar nhi hara sakte wahin insaan aapko torkar hara sakte hai.Sammna se kabhi garvit mat hona aur apmaan se kabhi krodhit mat hona.Dukh Bhogne wala aage chalkar sukhi ho sakta hai lekin dukh dene wala kabhi bhi sukhi nhi ho sakta hai.Sharir se sundar hone waali mahila aapko kuch dino ke liye sukh degi lekin dil se sundar hone waali mahila aapko jeewan bhar sukh degi.Dil se sundar hone waali mahila ke saath vivah karna jyaada acha hoga.Jaise neem ke patte ke upar meethe doodh ka chirkav karne par neem mitha nhi ho jaata neem neem hi rahega thik usi prakar ham bhi ache logon ke saath rehkar ache ban sakte hai isiliye hamein ache logon ke saath dosti karni chaiye.Agar aap sahi ho toh kabhi bhi uske saamne apni safayi pesh mat karna kyonki jise tum par bharosa hoga use kuch kehne ki jaroorat nhi aur jise tum par bharosa nhi hoga woh kabhi maanega nahi.Andhkaar ko hatane ke liye ek chota sa deepak prayapt hai.Bure dost buri patni ke saath rehne se toh acha hai mi aap akele raho.Kyonki aise log aapki zindagi ko barbaad kar denge.

Comments

Popular posts from this blog

हमेशा अपने जीवन में कुछ नया और अलग करना बहुत जरूरी है

समय की बर्बादी इंसान को बहुत कुछ सीखा देती है समय को बर्बाद मत कीजिये बल्कि समय का इस्तेमाल ज्यादा से ज्यादा कीजिये